bayan-e-hal mufassal nahin hua ab tak
jo mas.ala tha vahi hal nahin hua ab tak
nahin raha kabhi main is ki dastaras se duur
miri nazar se vo ojhal nahin hua ab tak
bichhaḌ ke tujh se ye lagta tha TuuT ja.unga
ḳhuda ka shukr hai pagal nahin hua ab tak
jala.e rakkha hai main ne bhi ik charagh-e-umid
tumhara dar bhi muqaffal nahin hua ab tak
mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
mira vajud mukammal nahin hua ab tak
daraz dast-e-tamanna nahin kiya main ne
karam tumhara musalsal nahin hua ab tak
baras kuchh aur miri jaan TuuT ke mujh par
ye ḳhitta jism ka jal-thal nahin hua ab tak
na aaya baaz vo ‘nayab’ apni fitrat se
vafa ka shahr bhi jangal nahin hua ab tak
Leave a Reply