Arsh-E-KHuda KHamosh Hai Tahtus-Sara Mein Chup

arsh-e-ḳhudā ḳhamosh hai tahtus-sarā meñ chup

shor itnā hai ki phail ga.ī hai fazā meñ chup

us ne bhī apne hoñToñ ko pāband kar liyā

maiñ ne bhī Daal rakhī hai dast-e-duā meñ chup

ilzām ab to tiir kī mānind ā.eñge

tum aa.e bhī to yuuñ ki thī āvāz-e-pā meñ chup

sūraj ta.alluqāt kā Dhalne pe aa gayā

mere junūñ meñ shor hai terī vafā meñ chup

pindār-e-sard-mehrī-e-duniyā kī ḳhair ho

dil ne agarche kar liyā shāmil duā meñ chup

koī vajūd hī nahīñ lafz-e-sukūn kā

apnī baqā meñ chup hai na apnī fanā meñ chup

‘āfāq’ duniyā kyā hai qayāmat ke ba.ad bhī

zinda rahegī hulla-e-ahl-e-ridā meñ chup

Leave a Comment