tiri yaad men kab qayamat na TuuTi tire gham men kab hashr barpa na dekha
ba-juz ik nigah-e-masiha-nafas ke mohabbat ke maron ne kya kya na dekha
bahut sair ki bagh-e-jannat ki ham ne magar kuchh maza zindagi ka na dekha
kisi dil men dard-e-mohabbat na paaya kisi dil men dagh-e-tamanna na dekha
bahut mard-e-maidan bhi duniya men dekhe shuja.at pe nazan bhi duniya men dekhe
magar choT sah jaa.e tir-e-nazar ki ye dil ye kaleja kisi ka na dekha
yahi hai nazara to kya hai nazara na shan-e-jamali na shan-e-jalali
ye dhundla sa partav ye mastur jalva barabar hai ham ko to dekha na dekha
junun-e-mohabbat men divangi men tiri be-ruḳhi ka bhi main qadr-dan huun
baḌa tu ne ehsan mujh par kiya ye tamasha bana kar tamasha na dekha
tire astan ka pata kis se paa.en kare rahbari kaun bhaTke huon ki
ye rah-e-talab hai ki rah-e-adam hai kisi ka bhi naqsh-e-kaf-e-pa na dekha
mohabbat kahan ye to bechargi hai sitam bhi sahen phir karam is ko samjhen
ye jabr is liye kar liya hai gavara ki is ke siva koi chara na dekha
niyaz-e-mohabbat se ye be-niyazi ḳhulus-e-mohabbat se itna taghaful
mira dard tum ne mira haal tum ne na jaana na samjha na puchha na dekha
tumhen ‘josh’ ham ḳhuub pahchante hain tumhari bala-noshiyan jante hain
kahan tum kahan parsa.i ka jaama kabhi ham ne aisa dikhava na dekha
Leave a Reply