ḳhud ho ke kuchh ḳhuda se bhi mard-e-ḳhuda na maang
rasm-e-dua ye hai ki dua le dua na maang
nadan ma-siva se na kar iltija na maang
mange ḳhuda se bhi to ḳhuda ke siva na maang
main apni be-zari ki nadamat ko kya kahun
tu aur sharmsar na kar ai gada na maang
un ka karam bhi dekh le apna bharam bhi rakh
har mudda.i se maang magar mudda.a na maang
ḳhugar ho dard ka ki yahi hai ilaj-e-dard
ye kis ke bas ka rog hai us ki dava na maang
rasm-e-talab men kya hai samajh kar uTha qadam
aa tujh ko ham bata.en ki kya maang kya na maang
rakkhi hui hai saari ḳhuda.i tire liye
haqdar ban ke samne aa maang ya na maang
is ḳhak-dan-e-dahr men ghuTta agar hai dam
maqdur ho to aag laga de hava na maang
milti nahin murad to ‘natiq’ ḳhayal chhoḌ
meri salah ye hai ki tu ruuTh ja na maang
Leave a Reply