• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Be-Nam Talluq Jinko Nam Achchha Sa Dene Mein

Kuchh Be-Nam Talluq Jinko Nam Achchha Sa Dene Mein

kuchh be-nam ta.alluq jin ko naam achchha sa dene men

main to saari bikhar ga.i huun ghar ko ikaTTha rakhne men

da.era manafi musbat ka to apni jagah mukammal hai

koi barqi-rau dauḌa de is be-jan se naate men

kaun ehsas ki lau baḳhshega rukhe-phike manzar ko

kaun piro.ega jazbon ke moti harf ke dhage men

aisa kya andher macha hai mere zaḳhm nahin bharte

log to paara paara ho kar juḌ jaate hain lamhe men

ranj ki ik be-mausam Tahni dil se yuun paivasta hai

puuri shaḳh hari ho jaa.e ek sira chhu lene men

uupar se ḳhamoshi oḌh ke phirte hain jo log vahi

dhajji dhajji phirte hain andar ke pagal-ḳhane men

sailabon ki ret se jis ko tu ne abas namnak kiya

dhire bahta ik dariya ban us sahra ke siine men

barish ek paḌe to bahar aape se ho jaati hai

jis maḳhluq ne ankhen kholin dharti ke tah-ḳhane men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Hai Aag Wo Pani Hai

Zindagi Ki Rawish Badal Anjum

Sadgi Yun Aazmai Jaegi

mirza-raza-barq

Lakh Parde Se Rukh-E-Anwar Ayan Ho Jaega

poet

Aab-O-Hawa to Aa Na Saki iKHtiyar Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet