aisa vaar paḌa sar ka
bhuul ga.e rasta ghar ka
ziist chali hai kis janib
le kaasa kaasa mar ka
kya kya rang badalta hai
vahshi apne andar ka
dil se nikal kar dekho to
kya aalam hai bahar ka
sar par Daali sarson ki
paanv men kanTa kikar ka
kaun sadaf ki baat kare
naam baḌa hai gauhar ka
din hai siine ka ghaav
raat hai kanTa bistar ka
ab to vo ji sakta hai
jis ka dil ho patthar ka
chhoḌo sher uTho ‘baqi’
vaqt hua hai daftar ka
Leave a Reply