badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa
ye meri ruuh men sho.ala utar gaya kaisa
hazar ankhon se main us ka muntazir aur vo
mire qarib se ho kar guzar gaya kaisa
ye kis hava ki ana toḌti rahi ham ko
hamare ḳhvabon ki ḳhirman bikhar gaya kaisa
dikha ke ek jhalak chand ho gaya ojhal
chaḌha na tha ki ye dariya utar gaya kaisa
kis aftab se tarsil-e-nur jaari hai
dhanak ka rang zamin par bikhar gaya kaisa
na apne qad ka na apne hajm ka hai ehsas
ḳhala ka dasht subuk-bar kar gaya kaisa
kisi guman ke sahra men kaisi ḳhaak uḌi
kisi yaqin ka partav ubhar gaya kaisa
vo tira-chashm ki suraj se bad-guman raha
ḳhud apne saae ki aahaT se dar gaya kaisa
Leave a Reply