ek chobin ghoda
ek ghaeb savar
aur ek simta hua maidan
ye hain markazi kirdar
ek be-musannif tamsil ke
jo bahar-surat khatm hoti hai
ek muhmal na-aghazi par
kisi pechida dhabbe ki tarah
jo sabt hai ek na-amada na-gustarda
chadar par
chobin ghoda apna kirdar umdagi se ada karta hai
agar ghaeb savar apne hisse ka kaam nahin bhulta
simta hua maidan nahin faraham kar sakta vo fasla
jo mashshaqi se tai kiya jaae
jab tak ki nazirin andhe na ho jaaen
ye koi munasib baat na hogi ki pesh kiya jaae
aisa asmani khel
us sayyare par jahan
vaqt hanuz naqis hai
aur harkat ta-hal na-khalis
ab hamen chalna chahiye!
Leave a Reply