• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Thi Wasl Mein Bhi Fikr-E-Judai Tamam Shab

Thi Wasl Mein Bhi Fikr-E-Judai Tamam Shab

momin-khan-momin

thi vasl men bhi fikr-e-judai tamam shab

vo aae to bhi niind na aai tamam shab

vaan taana tir-e-yar yahan shikva zakhm-rez

baham thi kis maze ki ladai tamam shab

rangin hain khun-e-sar se vo haath aj-kal rahe

jis haath men vo dast-e-hinai tamam shab

taalu se yaan zaban sahar tak nahin lagi

tha kis ko shughl-e-naghma-e-sarai tamam shab

yak baar dekhte hi mujhe ghash jo aa gaya

bhule the vo bhi hosh-ruhai tamam shab

mar jaate kyuun na subh ke hote hi hijr men

taklif kaisi kaisi uthai tamam shab

garm-e-javab-e-shikva-e-jaur-e-adu raha

us shola-khu ne jaan jalai tamam shab

kahta hai mehr-vash tumhen kyuun ghair gar nahin

din bhar hamesha vasl judai tamam shab

dhar paanv astan pe ki is aarzu men aah

ki hai kisi ne nasiya-sai tamam shab

‘momin’ main apne nalon ke sadqe ki kahte hain

un ko bhi aaj niind na aai tamam shab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Galiyan Hain Bahut Si Abhi Diwar Ke Aage

KHayal-O-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi

poet

Be Tere Jaan Na Thi Jaan Meri Jaan Ke Bich

Bhala Kahan Kise Mumkin Hai Ye Ada Har Bar

Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet