natija dekhiye kuchh din men kya se kya nikal aaya
kahin pe biij boya tha kahin paudha nikal aaya
raqam hai jis pe mere aba-o-ajdad ka shajara
mire ghar ki khuda.i men vahi katba nikal aaya
suna hai aaj sab uryan nazar a.enge saḌkon par
main apne ghar se ban kar aaj na-bina nikal aaya
kuchh aise zaviye se aaj suraj ne hukumat ki
ke mere jism ke saaye ka bhi saaya nikal aaya
asa jab hazrat-e-musa ne maara bahte paani par
to paani phaT gaya aur samne rasta nikal aaya
ai sapnon ke parindon hijraton se rok lo ḳhud ko
miri ankhon ke registan men chashma nikal aaya
tiri nazron ke auzaron ne mere jism-e-ḳhaki ka
jigar khoda to TuuTe dil ka kuchh malba nikal aaya
tu vo kam-zarf jo har dar pe daman ko pasare hai
main vo ḳhuddar jo dariya se bhi pyasa nikal aaya
Leave a Reply