ye ḳhauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
siyah raat ke sannaTo tum bhi kab tak ho
musafiro kahin tanha.iyan na ban jaana
ki saath ho bhi agar tum to ik sabab tak ho
ye kaj-ada.i bahut kam nasib hoti hai
tum apne gham men akele ho phir bhi sab tak ho
jo log lauT ke ḳhud mere paas aa.e hain
vo puchhte hain ki ‘ash.har’ yahin pe ab tak ho
Leave a Reply