chak-e-jigar-o-dil ka jab shikva baja hota
yusuf ka zulekha ne daman to siya hota
sahta huun sitam us ke ehsan hai duniya par
gar main na vafa karta kya janiye kya hota
tum aur adu donon ik jaan do qalib ho
main tum se agar milta vo kyuun ki juda hota
mahrumi-e-talea se hoga na ye din varna
main tum ko dikha deta gar roz-e-jaza hota
yaan tark-e-vafa mushkil tum kyuun ki sitam chhodo
jo kuchh na hua mujh se vo aap se kya hota
ai kaash tum aa jaate aghyar hi ko le kar
kuchh umr to ghat jaati go ranj siva hota
karte hain vo chaar ankhen yuun mil ke qayamat men
goya ki hai farda ka ab vaada vafa hota
dhoke men na rahna tha yakbar na kahna tha
kuchh lab pe gila laate kuchh dil men rakha hota
hoti hai shab-e-vaada jab yaas to main dil se
na-char ye kahta huun vo aate to kya hota
mai-khane se mai ‘salik’ piite hue ghar jaana
bazar hai ye hazrat kuchh paas kiya hota
Leave a Reply