chala huun apni manzil ki taraf to shadman ho kar
kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar
hamari dastan ho kar tumhari dastan ho kar
kahan pahunchi mohabbat karvan-dar-karvan ho kar
mire zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai ma.az-allah
jabin in.am-e-sajda de rahi hai astan ho kar
ḳhud apne soz se jalna to har ik sham.a ko aaya
vo parvana jo ḳhakistar hai soz-e-digaran ho kar
kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki
ḳhizan jab aa.i ham-rah-e-bahar-e-gulistan ho kar
hamen ujḌe nasheman ki jab apne yaad aati hai
qafas ki tiliyan jalti hain shaḳh-e-ashiyan ho kar
‘figar’ ah-o-fughan se kam na thi azmat mire gham ki
magar kuchh aur rutba baḌh gaya soz-e-nihan ho kar
Leave a Reply