umr-bhar ḳhuun se likkha hai jis afsane ko
kitna kam rang hai us shoḳh ke nazrane ko
khilti rahti hain tire pyaar ki kaliyan har-su
baagh nilam na kar den mire virane ko
mai se raghbat to mujhe bhi hai magar bas itni
nachte dekh liya duur se paimane ko
aur marta kahin ja kar tire dar se lekin
hosh itna bhi kahan tha tire divane ko
kya ḳhabar thi ye tira dar ye tira kucha hai
main to bas baiTh gaya tha zara sustane ko
sham.a jalne ki ijazat nahin deti ‘aḳhtar’
shauq bujhne nahin deta mire parvane ko
Leave a Reply