hava ki tez-gamiyon ka inkishaf kya karen
jo dosh par liye ho us ke bar-khilaf kya karen
yaqin aur guman ki jang se gurez tha nahin
jo faisla kiya hai us se inhiraf kya karen
vo dusron ki aankh ka ghubar to liye rahe
to apne gard gard aine ko saaf kya karen
jo manzilen dikhai thiin vo mumkinat men se thiin
par apni himmaton ki barf men shigaf kya karen
‘humaira’ e’timad ka pahad dher ho gaya
aur ab bhi sochte hain un se ikhtilaf kya karen
Leave a Reply