• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujhko Samjho Yaadgar-E-Raftagan-E-Lucknow

Mujhko Samjho Yaadgar-E-Raftagan-E-Lucknow

mujh ko samjho yadgar-e-raftagan-e-lucknow

huun qadd-e-amdam ghubar-e-karvan-e-lucknow

ḳhun-e-hasrat kah raha hai dastan-e-lucknow

rah gaya hai ab yahi rangin-bayan-e-lucknow

gosh-e-ibrat se sune koi miri fariyad hai

bulbul-e-ḳhunin nava-e-bostan-e-lucknow

mere har aansu men ik a.ina-e-tasvir hai

mere har naale men hai tarz-e-fughan-e-lucknow

DhunDhta hai ab kise le kar charagh-e-aftab

kyuun miTaya ai falak tu ne nishan-e-lucknow

lucknow jin se ibarat thi hue vo napadid

hai nishan-e-lucknow baaqi na shan-e-lucknow

ab nazar aata nahin vo majma.a-e-ahl-e-kamal

kha ga.e un ko zamin-o-asman-e-lucknow

pahle tha ahl-e-zaban ka daur ab gardish men hain

chahiye thi tegh-e-urdu ko fasan-e-lucknow

marsiya-go kitne yakta-e-zamana the yahan

koi to itnon men hota nauha-ḳhvan-e-lucknow

ye ghubar-e-na-tavan ḳhakistar-e-parvana hai

ḳhandan apna tha sham-e-dudman-e-lucknow

chalta tha jab ghuTniyon apne yahan tifl-e-razi.a

sajda karte the use gardan-kushan-e-lucknow

ahd-e-pirana-sari men kyuun na shirin ho suḳhan

bachpane men main ne chusi hai zaban-e-lucknow

gulshan-e-firdaus par kya naaz hai rizvan tujhe

puchh us ke dil se jo hai rutba-dan-e-lucknow

bu-e-uns aati hai ‘haidar’ ḳhak-e-maTiya-burj se

jam.a hain ik ja vatan-avargan-e-lucknow

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Marte dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib

Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein

mubarak-azimabadi

Kahte Hain Ki de Meri Bala dad Kisi Ki

aftab-hussain

dekhe Koi Talluq-e-Khatir Ke Rang Bhi

akhtar-hoshiyarpuri

dard Ki daulat-e-Nayab Ko Ruswa Na Karo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet