bahe saath ashk ke laḳht-e-jigar tak
na ki us ne miri janib nazar tak
abas sayyad ko hai bad-gumani
nahin baazu men apne ek par tak
ḳhabar aa.i mariz-e-dard-o-gham ki
kahin pahunche ḳhabar us be-ḳhabar tak
nazakat se lagi bal karne kya kya
abhi gesu na pahunche the kamar tak
jiye jaate hain shakl-e-sham-e-sozan
na kuchh baaqi rahenge ham sahar tak
agar main yaad hota to na aate
magar bhule se aa.e mere ghar tak
dam-e-girya thi ghalib na-tavani
pahunchte laḳht-e-dil kya chashm-e-tar tak
ḳhuda jaane ‘asar’ ko kya hua hai
raha karta hai chup do do pahar tak
Leave a Reply