tera anchal nahin hota hai
abr badal nahin hota hai
barishen to bahut hoti hain
dasht jal-thal nahin hota hai
mustaqil hai ye kaisi kami
kuchh mukammal nahin hota hai
zindagi jab talak rahti hai
mas.ala hal nahin hota hai
sirf us ke shajar hote hain
sabr ka phal nahin hota hai
ek jangal nazar aane se
shahr jangal nahin hota hai
us ko tafsil se paḌhta huun
jo mufassal nahin hota hai
baat karte hain sadiyon ki ham
paas ik pal nahin hota hai
Leave a Reply