• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tamam Nur-E-Tajalli Tamam Rang-E-Chaman

Tamam Nur-E-Tajalli Tamam Rang-E-Chaman

tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman

ye tera chand sa chehra ye tera gul sa badan

na Dagmaga.e qadam garche rah-e-ulfat men

kahin the dasht-o-bayaban kahin the dar-o-rasan

hazar aa.e zamane men inqalab magar

mizaj husn ka badla na ishq hi ka chalan

sabat-o-sabr zaruri hai aadmi ke liye

shikan jabin pe na aa.e ba-vaqt-e-ranj-o-mehan

ye baat aur hai naqid rahe zamana magar

jahan se miT nahin sakte nuqush-e-tesha-fan

mira dayar hai mehr-o-vafa ka gahvara

adu-e-mehr-o-mohabbat ka hai magar madfan

haqiqaton se ba-har-hal jo gurez kare

vo sha.iri hai na hikmat na vo hunar hai na fan

har ik ko jaan zamane men apni pyari hai

aziz-tar hai magar ham ko jaan se bhi vatan

bahut hi shor tha rangini-e-jahan ka magar

mila na ham ko yahan kuchh siva-e-ranj-o-mehan

vo jan-e-husn-o-latafat hi ban ke aaya hai

bahar ghuncha-ba-ghuncha saba chaman-ba-chaman

hazar baar hua imtihan-e-ishq magar

na jaane husn hai kyuun mujh se bad-guman ‘darshan’

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ismail-merathi

Hai Bar-E-Khuda Ki Aalam-Ara Tu Hai

Ye Mashwara Baham uTThe Hain Chaara-Ju Karte

Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui

khaDe Hain Der Se Ahbab Dekhne Ke Liye

Bas Ek Bund Thi Auraq-E-Jaan Mein Phail Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet