phal daraḳhton se gire the andhiyon men thaal bhar
mere hisse men magar aa.e nahin rumal bhar
pahle saare panchhiyon ko par milen parvaz ke
phir shikari se kahe koi ki apna jaal bhar
mausamon ki saḳhtiyan to badalon si uḌ ga.iin
aaj bhi mahfuz kab hai dil ka shisha bal-bhar
dhund hi chha.i rahi ankhon men tum se kya kahen
ab to yaaro ek sa rahta hai mausam sal-bhar
dhuup ki man-maniyon par muskurate the kabhi
in tanavar peḌon par patte bache hain Dal-bhar
ek shai ka naam jo batla.e us ka naam ho
apni galiyon men nahin hai mumbai si chaal bhar
aur ham se kya taqaza hai tira asr-e-ravan
jan-o-tan ka naam hai bas haDDiyon par khal-bhar
Leave a Reply