• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Ke Dhalte Suraj Ne Ye Baat Mujhe Samjhai Hai

Sham Ke Dhalte Suraj Ne Ye Baat Mujhe Samjhai Hai

shaam ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjha.i hai

tariki men dekh sakun to ankhon men bina.i hai

ehsasat ki tah tak jaana kitna mushkil hota hai

zehn-o-dil men jitna utro utni hi gahra.i hai

rishte-nate bahar se to jism ko ghere baiThe hain

ruuh ke andar jhank ke dekho milon tak tanha.i hai

lafzon ne hi nashtar ban ke dil ko gahre zaḳhm diye

lafzon ne hi zaḳhm-e-dil ko ThanDak bhi pahuncha.i hai

piiTh pe karta vaar to shayad men sadme se mar jaata

main to ḳhush huun main ne us se choT jigar pe khaa.i hai

kamron ke baTvare men ik kamra zaa.id jaane do

lekin ye ehsas bacha lo apna hi to bhaa.i hai

diip jala kar duniya vaale is tiili ko bhuul ga.e

lekin sach hai dipak raushan karti diya-sala.i hai

majzubon ke khel samajhna sab ke bas ki baat nahin

pahle zaḳhm udheḌ ke jaana phir us ki turpai hai

raten apni raushan kar lo ashkon se ‘shayan’ abhi

vaqt se pahle apne safar ki tayyari dana.i hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHamosh Lahje Mein Mujhse Dalil Karte Hue

Sabab Nahin Tha Koi Yun to Apne Rone Ka

imam-bakhsh-nasikh

Ab Ki Holi Mein Raha Be-Kar Rang

Jis Ko paDh Kar Ke Ilm-E-Nafe Ho

poet

Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet