Yun to Wo Mujhse Siwa Mera Bhala Chahta Hai

yuuñ to vo mujh se sivā merā bhalā chāhtā hai

jaane kyuuñ chāhtā hai mujh se vo kyā chāhtā hai

sāl-hā-sāl se maiñ to safar-e-ḳhvāb meñ huuñ

vahī nādāñ hai ki ta.abīr-e-vafā chāhtā hai

hijr kī raat meñ bhī dard ke āshob meñ bhī

dil use chāhtā rahtā hai sadā chāhtā hai

kis tarah se dil-e-vahshī ko bhalā samjhā.ūñ

vo to har daam judā rañg judā chāhtā hai

nā-tarāshīda basārat bhī basīrat Thahrī

ye na honā thā magar ye bhī huā chāhtā hai

us ko dushman bhī kahūñ us se adāvat bhī rakhūñ

us se maiñ pyaar karūñ dil to baḌā chāhtā hai

Leave a Comment