• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Un Se Kaho Wo Yaqin Jaante Hain

Jo Un Se Kaho Wo Yaqin Jaante Hain

riyaz-khairabadi

jo un se kaho vo yaqin jante hain

vo aise hain kuchh bhi nahin jante hain

bade jannati hain ye mai-khvar zahid

mai-e-talkh ko angbin jante hain

javani khud aati hai sau husn le kar

javan koi ho ham hasin jante hain

shab-e-mah banti hai har shab mire ghar

ye sab bada-vash mah-jabin jante hain

banavat bhi ik fan hai jo janta ho

tiri sadgi kuchh hamin jante hain

nigahen na ankhon ke ghunghat se niklen

adaen ghazab sharmgin jante hain

tiri kam-nigahi se ubhre hain fitne

tujhe ghair chin-bar-jabin jante hain

miri jaan par raat ban ban gai hai

mira haal kuchh ham-nashin jante hain

jo vaqif nahin lutf-e-tajdid se kuchh

vo tauba ki lazzat nahin jante hain

vo sharmili ankhen vo sharmili baten

vo hansna bhi khul kar nahin jante hain

miri but-parasti bhi hai haq-parasti

mira martaba ahl-e-din jante hain

bade paak tinat bade saaf batin

‘riyaz’ aap ko kuchh hamin jante hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain

tanveer-anjum

Khaar Chunte Hue

Har shaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De

poet

Sang-Rezon Ki Tarah Pesh-E-Nazar Rahte Hain

Dijiye ruKHsat-E-Bosa Nahin Le baiThenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet