jang jaari hai ḳhandanon men
ghair mahfuz huun makanon men
lafz pathra ga.e hain honTon par
log kya kah ga.e hain kanon men
raat ghar men thi sar-phiri andhi
sirf kanTe hain phul-danon men
mabadon ki ḳhabar nahin mujh ko
ḳhairiyat hai sharab-ḳhanon men
ab sipar DhunD koi apne liye
tiir kam rah ga.e kamanon men
naḳhuda kya ḳhuda rakhe mahfuz
vo hava.en hain badbanon men
daal chunane men haath a.enge
jitne kankar hain kar-ḳhanon men
DhunDta phir raha huun ḳhali haath
jaane kya chiiz un dukanon men
Leave a Reply