ishq ke TuuTe hue rishton ka matam kya karen
zindagi aa tujh se phir ik baar samjhauta karen
zindagi kab tak tire darmandgan-e-arzu
ḳhvab dekhen aur ta.abiron ko sharminda karen
muḌ ke dekha aur patthar ke hue is shahr men
ḳhud sada ban jaao avazen agar pichha karen
na-umidana bhi jiine ka saliqa hai hamen
aa.ine TuuTe hue dil men saja kar kya karen
chand zarre dil ke raqsan hain fazaon men abhi
laao in zarron men hashr-e-arzu barpa karen
ḳhun-chakan ankhon se apni ḳhush nahin ham bhi magar
chaak daman ho to si len chak-e-dil ko kya karen
bujh ga.e ek ek kar ke sab aqidon ke charagh
ai zamane ki hava ab ye bata ham kya karen
afiyat dushman tha dil-na-aqebat-andesh ham
ab kise ilzam den ‘aḳhtar’ kise rusva karen
Leave a Reply