dil ke zaḳhm dikha.en kya
a.ina ban jaa.en kya
lauT ke buddhu ghar ko aa.e
ham bhi vapas aa.en kya
chak-gareban ghumen kyon ham
divane kahla.en kya
saari virasat bech chuke hain
ek zamir bacha.en kya
phir Thokar men duniya hogi
phir kambal phaila.en kya
ham-sa.e ke ghar men faaqa
kha-pi kar so jaa.en kya
saari duniya raushan karne
dil ke daagh jala.en kya
‘nazr’ ki parda-dari samjho
ab nange ho jaa.en kya
Leave a Reply