jo lab pe na la.un vahi sheron men kahun main
yuun a.ina-e-hasrat-e-guftar banun main
a.ina-e-aghaz men dekhun ruḳh-e-anjam
kaliyon ke chaTakne ki sada se bhi Darun main
mere liye ḳhalvat bhi hai hangame ki surat
vo shor-e-tamanna hai ki kis kis ko sunun main
Thahro to ye ghar kya dil-o-jan bhi hain tumhare
jaate ho to kyuun raah ki divar banun main
har gaam nigahon se lipaT uThte hain sho.ale
aur dil ki yahi zid hai isi raah chalun main
har ek nazar abla-pa dekh raha huun
baste hue shahron ko bhi sahra hi kahun main
koi bhi sar-e-dar charaghan nahin karta
aur sab ki tamanna hai ki mansur banun men
naqqashi-e-taḳh.il se ghabra sa gaya huun
kab tak yunhi ḳhvabon ke jaziron men rahun main
jo le gaya jaan o jigar o dil sar-e-rahe
vo ghar mire aa jaa.e to kya nazr karun main
mujh ko hai junun zamzama-e-barg-e-ḳhizan ka
patjhaḌ ke liye gosh-bar-avaz rahun main
‘sadiq’ mujhe manzur nahin in ki numa.ish
har chand ki zaḳhmon ka ḳharidar to huun main
Leave a Reply