sanson ke is hunar ko na asan ḳhayal kar
zinda huun sa.aton ko main sadiyon men Dhaal kar
maali ne aaj kitni dua.en vasul kiin
kuchh phuul ik faqir ki jholi men Daal kar
kul yaum-e-hijr zard zamanon ka yaum hai
shab bhar na jaag muft men ankhen na laal kar
ai gard-bad lauT ke aana hai phir mujhe
rakhna mire safar ki aziyyat sambhal kar
mehrab men diye ki tarah zindagi guzar
munh-zor andhiyon men na ḳhud ko niDhal kar
shayad kisi ne buḳhl-e-zamin par kiya hai tanz
gahre samundaron se jazire nikal kar
ye naqd-e-jan ki is ka luTana to sahl hai
gar ban paḌe to is se bhi mushkil saval kar
‘mohsin’ barahna-sar chali aa.i hai sham-e-gham
ghurbat na dekh is pe sitaron ki shaal kar
Leave a Reply