ek hi pal men badalta hai nazara saara
aur is pal ke liye baaqi tamasha saara
zindagi ne na kisi imtihan ko dohraya
tajraba kaam hi aaya nahin apna saara
dhuup men jalna hai us ko jo shajar ban ke jiye
us ke saa.e men rahe ḳhush ye zamana saara
us ki rahmat ka ḳhazana vo luTa.e aise
jis ne manga nahin jo us ne vo paaya saara
baḳhsh mujh ko na adhuri koi ne.amat maula
ya to dariya hi de puura ya to sahra saara
main ne bazar men puura hi rakha tha ḳhud ko
koi aisa na mila jis ne ḳharida saara
aks sabut to hai TuuTe hue shishe men magar
ek TukḌa bhi ganvaya to ganvaya saara
hota hai bhiiḌ ki fitrat se madari vaqif
jab talak ḳhatm na ho khel hai majma.a saara
itni vus.at nahin daman men ‘nava’ ke yaron
pyaar kaise vo sameTe kaho itna saara
Leave a Reply