zaban iz.har lahja bhuul ja.un
mire ma.abud kya kya bhuul ja.un
bikhar ja.un zamin se asman tak
phir aisa ho simaTna bhuul ja.un
main tera naam itni baar likkhun
ki apna naam likhna bhuul ja.un
tiri parchha.in to le aa.uun ghar tak
kahin apna hi saaya bhuul ja.un
tiri avaz to pahchan lunga
ye mumkin hai ki chehra bhuul ja.un
kabhi ye bhi to ho bhaTkun jahan men
aur apne ghar ka rasta bhuul ja.un
junun-e-bandagi ki laaj rakhna
agar adab-e-sajda bhuul ja.un
main kab tak sochta rahta jahan ko
yahi behtar tha jiina bhuul ja.un
Leave a Reply