• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Abhi Se Kis Tarah Un Ko Bewafa Kahun

Main Abhi Se Kis Tarah Un Ko Bewafa Kahun

main abhi se kis tarah un ko bevafa kahun

manzilon ki baat hai raste men kya kahun

husn-e-be-hijab par koi parda Daal lo

tum use sanam kaho main use ḳhuda kahun

ai haris-e-mai-kada ḳhun-e-zindagi na pi

tu sharab agar piye tujh ko parsa kahun

gesu-e-siyah ki ye hasin daraziyan

raat kyuun kahun unhen raat ki dua kahun

tarjuman-e-raz huun ye bhi kaam hai mira

us lab-e-ḳhamosh ne mujh se jo kaha kahun

ghair mera hal-e-gham puchhte rahe magar

doston ki baat hai dushmanon se kya kahun

imtihan-e-shauq hai aisi ashiqi ‘nushur’

dil ka koi haal ho un ko dilruba kahun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Agle Panch Dinon Tak Jina Chahta Hun

Husn Ko Samajhta Hai Ishq Ham-Zaban Apna

poet

Mujh Sa Kab Shahr-Gard Tha Pahle

Ye Nahin Kasrat-E-Alam Se Jal Jate Hain

Aaj to Nahin Milta or-Chhor Dariya Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet