ba-har-tariq use mismar karte rahna hai
kabhi suḳhan to kabhi vaar karte rahna hai
daron ke vaste divar chahiye janan
so farsh-e-ḳhvab ko divar karte rahna hai
sahar ke marka-e-nel-o-bad se kya matlab
hamara kaam to bedar karte rahna hai
vo ek dard jo saiqal nahin hua ab tak
usi ko a.ina-e-yar karte rahna hai
yahi hai virsa-e-shabbir ka chalan ‘arshad’
ki har yazid se inkar karte rahna hai
Leave a Reply