dil akela hi nahin raqs men jaan raqs men hai
ham agar raqs men hain saara jahan raqs men hai
hairat-e-a.ina tanha na yahan raqs men hai
jaane kya dekh liya dil ne ki jaan raqs men hai
chashm-e-saqi men hai jis din se mira shisha-e-dil
alam-e-kar-gah-e-shisha-garan raqs men hai
jab se us naam ka aaya hai ada kar lena
kaun jaane ye haqiqat ki zaban raqs men hai
ai ‘dil’ is bargah-e-husn men huun jab se muqim
ishq shayad ki miri tab-e-ravan raqs men hai
Leave a Reply