chura na aankh ko saaqi ki bada-nosh huun main
abhi to faisla hota hai ek saghar par
mariz-e-ishq ki halat kabhi na sanbhlegi
mujhe to chhoḌ de ai chara-gar muqaddar par
hamare naale bhi thak thak ke ab to baiTh rahe
ga.e vo din ki uThate the asman sar par
hamare mai-kada ko chhoḌ kar na ja zahid
milega qatra na kam-baḳht hauz-e-kausar par
gila na ham ne kiya ‘shauq’ us sitamgar se
bala.en sab vo uTha.in jo aa paḌin sar par
Leave a Reply