ash.ar ki taḳhliq men jalta hai jigar kyuun
yarab mujhe baḳhsha hai ye jan-soz hunar kyuun
gham ishq ki saughat hai siine se laga le
phulon ki tamanna hai to kanTon se hazar kyuun
kuchh had se siva hain mire gham-ḳhvar vagarna
rahti hai mire haal pe yaron ki nazar kyuun
kal jis ko sar ankhon par biThata tha zamana
baiTha hai sar-e-rah vo ab ḳhak-basar kyuun
aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam
namnak hain ankhen tiri aaj ai gul-e-tar kyuun
phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uTh kar
phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyuun
patthar ke siva ‘chand’ yahan kuchh na milega
baiTha hai saja.e hue shishon ka tu ghar kyuun
Leave a Reply