main ne yuun dekha use jaise kabhi dekha na tha
aur jab dekha to ankhon par yaqin aata na tha
bam-o-dar se saḳht barish men bhi uTThega dhuan
yuun bhi hota hai mohabbat men kabhi socha na tha
andhiyon ko rauzan-e-zindan se ham dekha kiye
duur tak phaila hua sahra tha naqsh-e-pa na tha
log laae hain kahan se shab ko marmar ke charagh
un chaTanon men to din ko rasta paida na tha
shahr ki hangama-arai men kho kar rah gaya
main ki apne ghar men bhi mujh ko sukun milta na tha
barf apne-ap ghul jaati hai suraj ho na ho
shaam se pahle ye jaana tha magar samjha na tha
un dinon bhi shahr men sailab aate the bahut
vadiyon men jab kahin badal abhi barsa na tha
raat ki tanhaiyon men jis se chaunk uTThe the ham
apni hi avaz thi sho.ala koi chamka na tha
vo bhi sach kahte hain ‘aḳhtar’ log begane hue
ham bhi sachche hain ki duniya ka chalan aisa na tha
Leave a Reply