in dinon tez bahut tez hai dhara mera
donon janib se hi kaTta hai kinara mera
sard ho jaati hai har aag bil-aḳhir ik din
dekhiye zinda hai kab tak ye sharara mera
nafa.a-dar-nafa.a se bhi kya kabhi zaa.il hoga
ruuh par bojh bana hai jo ḳhasara mera
hai ye aalam ki nahin ḳhud ko mayassar main bhi
kaise ab hota hai mat puchh guzara mera
yahi chakkar mujhe markaz se alag rakhta hai
ḳhush-nasibi hai ki gardish men hai taara mera
meri majburi hai lafzon men nahin kah sakta
aur samajhta hi nahin koi ishara mera
ḳhaas number ka.i baaqi hain murattab karne
hai jahan tera bas ik aam ishara mera
log hairat hai samajhte hain mujhe ghairat-mand
bat-be-bat jo chaḌh jaata hai paara mera
vo nazar ho jo mujhe chaak hi kar Daale ‘suhail’
varna khulne ka nahin ramz-e-nazara mera
Leave a Reply