• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hazar Rang Jalal-O-Jamal Ke Dekhe

Hazar Rang Jalal-O-Jamal Ke Dekhe

hazar rang jalal-o-jamal ke dekhe

vo ma.arke tire husn-e-ḳhayal ke dekhe

samajh men aane laga maqsad-e-hayat-o-mamat

vo zaviye tire hijr o visal ke dekhe

har ek gham hai tar-o-taza pahle din ki tarah

amanaten koi yuun bhi sambhal ke dekhe

faza na bujhne lage is ḳhayal se akasr

dil o nigah ke raste ujaal ke dekhe

nagar bhi aur khanDar bhi nazar men rahte hain

ajiib daur uruj-o-zaval ke dekhe

ki rashk aane laga apni be-kamali par

kamal aise bhi ahl-e-kamal ke dekhe

na chashm ishare se vaqif na lab ka harf se rabt

kuchh aise silsile bhi qil-o-qal ke dekhe

zamin zamin na rahi aur falak falak na raha

kuchh aise marhale bhi arz-e-hal ke dekhe

koi sadi bhi hai pal aur koi pal bhi sadi

kuchh aise fasle bhi mah-o-sal ke dekhe

hui zamin kabhi raakh to kabhi gharqab

kuchh aise hausle bhi barshgal ke dekhe

ajiib shart hai in manzaron ki ai ‘ruhi’

ki apni ankhen koi ḳhud nikal ke dekhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

KHud Ho Ke Kuchh KHuda Se Bhi Mard-E-KHuda Na Mang

indira-varma

Hazar Khwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen

Aankhon Mein KHwab Si Hain Yaaden Zara Zara Si

abdul-wahab-sukhan

Wo Ba-Rang-e-Etibar Aankhon Mein Hai

seema-sharma-meeruthi

Zarre Zarre Hain Aks Ke Har-Su

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet