na kyun-kar nazr dil hota na kyun-kar dam mira jaata
akela bhejta us ko vo ḳhali haath kya jaata
janaze par bhi vo aate to munh ko Dhank kar aate
hamari jaan le kar bhi na andaz-e-haya jaata
tumhari yaad mera dil ye donon chalte purze hain
jo in men se koi miTta mujhe pahle miTa jaata
teri chitvan ke bal ko ham ne qatil taak rakha tha
kidhar maqtal men bach kar ham se ye tir-e-qaza jaata
maza jab tha qayamat tak na aata hosh ‘beḳhud’ ko
pila.i thi jo mai saaqi ne itni to pila jaata
Leave a Reply