un ka jalva nahin dekha jaata
dekh dekha nahin dekha jaata
qatl karne ki vo jaldi thi tumhen
ab taḌapna nahin dekha jaata
chashm-e-ḳhun-bar ḳhuda rahm kare
tera rona nahin dekha jaata
ulfat unki nahin chhoḌi jaati
haal dil ka nahin dekha jaata
dekhne hi ke liye hain ankhen
un se kya kya nahin dekha jaata
par tiri barq-e-tajalli ka jamal
ḳhuub dekha nahin dekha jaata
naama puura vo ‘hasan’ kya dekhen
naam puura nahin dekha jaata
Leave a Reply