kyuun khafa tu hai kya kaha main ne
mar kaha tu ne marhaba main ne
kyuun surahi-e-mai ko de patka
tu ne toda ya bevafa main ne
na-tavani men ye tavanai
dil ko tujh se utha diya main ne
de ke ye tujh ko ye liya ki diya
gauhar-e-be-baha liya main ne
kyuun khum-e-mai ko mohtasib toda
kya kiya main ne kya kiya main ne
kyuun na ruk ruk ke aae dam mera
tujh ko dekha ruka ruka main ne
gul hazaron men shama-e-aish ‘ehsan’
jaise us gul ko dil diya main ne
Leave a Reply