shikasta jism darida jabin ki janib
kabhi to dekh mire ham-nashin ki janib
main apna zaḳhm dikha.un tujhe ki main dekhun
lahu men Duubi hui astin ki janib
in asman-mizajon se hai bala ka gurez
palaT raha huun main apni zamin ki janib
kuchh apne harf ke moti kuchh apne lafz ke phuul
uchhal aaya huun us naznin ki janib
kisi ki chashm ta.aqub ki zad men rahta huun
main dekhta huun jab us mah-jabin ki janib
ḳhud apne hone pe mujh ko yaqin hai lekin
main dekhta huun guman se yaqin ki janib
masaf-e-jan men khaḌa huun mire adu se kaho
vo dekhta hai yasar-o-yamin ki janib
kisi ne thaam li baḌh kar mire faras ki rikab
kisi ne haath baḌhaya tha ziin ki janib
ḳhud apne fan ka ye ‘shahid’ kamal hai naqqad
vo dekhta hi nahin naqidin ki janib
Leave a Reply