• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaana to Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage

Jaana to Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage

jaana to bahut duur hai mahtab se aage

baḌhte hi nahin paanv tire ḳhvab se aage

kuchh aur hasin moḌ the rudad-e-safar men

likkha na magar kuchh bhi tire baab se aage

tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi

tu bhi na baḌha jism ke adab se aage

moti ke ḳhazane bhi tah-e-ab chhupe the

nikla na koi ḳhatra-e-girdab se aage

dekho to kabhi dasht bhi abad hai kaisa

niklo to zara ḳhitta-e-shadab se aage

bichhḌa to nahin koi tumhara bhi safar men

kyuun bhage chale jaate ho betab se aage

duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai

ab kuchh bhi nahin alam-e-asbab se aage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

Raqs Karta Hun Jam Pita Hun

poet

Dida-E-Sarf-E-Intizar Hai Shama

Jab Tabassum Aap Farmane Lage

Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na phaTa Hota

KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet