mujhe likkho vahan kya ho raha hai
yahan to phir tamasha ho raha hai
hava ke dosh par hai ashiyana
parinda tinka tinka ho raha hai
abhi parvaz ki fursat hai kis ko
abhi to dana-dunka ho raha hai
koi nadida ungli uTh rahi hai
miri janib ishara ho raha hai
vo apne haath sidhe kar rahe hain
hamara shahr ulTa ho raha hai
na jaane kis taraf se likkha jaae
chaman divar-e-farda ho raha hai
Leave a Reply