shab josh-e-girya tha mujhe yaad sharab men
tha gharq main tasavvur-e-atish se aab men
yarab vo khvab-e-haq men mire khvab marg ho
aave vo mast-e-khvab agar mere khvab men
yarab ye kis ne chehre se ulta naqab jo
sau rakhne ab nikalne lage aftab men
kya aql mohtasib ki ki laaya hai khinch kar
sauda-zadon ko mahkama-e-ehtisab men
ham jan-o-dil ko de chuke mauhum umiid par
ab ho so ho dubo de ye kashti sharab men
kuchh bhi lagi na rakkhi dubo di rahi sahi
dil ko na dalna tha saval-o-javab men
ulfat men un ki ab to hai janon ki pad gai
dil kis shumar men hai jigar kis hisab men
the justuju men roz-e-azal ja-e-dard ki
aaya pasand dil mira is intikhab men
Leave a Reply