• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Barson Se Hun Main Zamzama-Pardaz-E-Mohabbat

Barson Se Hun Main Zamzama-Pardaz-E-Mohabbat

barson se huun main zamzama-pardaz-e-mohabbat

aa.i na javaban kabhi avaz-e-mohabbat

ik dard mohabbat hai miri har rag-o-pai men

har saans hai ab mera ik avaz-e-mohabbat

har-chand ki har bazm men Thukra.i ga.i hai

avaz-e-mohabbat hai phir avaza-e-mohabbat

ma.amur hain avaz-e-mohabbat se faza.en

mastur hai go sahib-e-avaz-e-mohabbat

aa jaa.e zara sina-e-afaq men garmi

ho jaa.e zara sho.ala-zan avaz-e-mohabbat

ye daur hai daur-e-havas is daur men ai dil

sunta nahin dil se koi avaz-e-mohabbat

jis shaḳhs ke siine men hai dil ki jagah patthar

samjhega vo kya ma.ani-e-avaz-e-mohabbat

is daur-e-tag-o-dau men vafa kaun sunega

kitni hi dil-avez ho avaz-e-mohabbat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Munjamid aaKHir Hai Kyun Ta-Hadd-E-Manzar Phail Ja

quli-qutub-shah

Hamara Sajan Khush-Nazar Baz Hai

mirza-ghalib

donon Jahan de Ke Wo Samjhe Ye Khush Raha

nida-fazli

duniya Jise Kahte Hain Jadu Ka Khilauna Hai

Bar-E-KHatir Hui Ye Umr-E-Gurezan Jaanan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet