sanam hai ya khuda kya jaane kya hai
hamara dilruba kya jaane kya hai
na sumbul hai na kaala hai na nagin
tari zulf-e-rasa kya jaane kya hai
kasi pahlu nahin aram tujh ko
tujhe ai dil hua kya jaane kya hai
nahin maalum kaaba hai ki qibla
kham-e-abru tira kya jaane kya hai
mira dil loge tum ya jaan loge
tumhara indiya kya jaane kya hai
jafaon se tiri bharna nahin dil
tadapne men maza kya jaane kya hai
hamen to us se hai ummid-e-bakhshish
magar us ki raza kya jaane kya hai
nazar pheri nahin tu ne to ham se
ye phir ishva-numa kya jaane kya hai
tasavvur men jo ki hain band ankhen
dikhai de raha kya jaane kya hai
bhala tu ashna hoga kasi ka
are na-ashna kya jaane kya hai
qayamat hai qad-e-bala tumhara
nigah-e-fitna-ra kya jaane kya hai
nikalta hai dhuan jo aah ke saath
ye ai dil jal raha kya jaane kya hai
bhala main kya use batlaun ‘anjum’
vo mujh se puchhta kya jaane kya hai
Leave a Reply