• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Bahut Se Zamin Mein dabae Gae Hain

Bahut Se Zamin Mein dabae Gae Hain

poet

bahut se zamin men dabae gae hain

bahut un ke ashiq jalae gae hain

hamesha se ashiq satae gae hain

hamen kya nae yaan jalae gae hain

andhera na hone diya vasl ki shab

vo shamon pe shamen jalae gae hain

nahin be-sabab un ko mujh se rukavat

bahut hi sikhae padhae gae hain

nahin vasl ki in se farmaish asan

bahut munh bigade banae gae hain

adaon ke namon ke ghamzon ke mujh par

bahut chor pahre bithae gae hain

nigahon ki chhuriyan adaon ke khanjar

bahut mere dil par lagae gae hain

ladaya hai shah de ke logon ne ham ko

bahut roz naqshe jamae gae hain

main nalan na tha tere jaur-o-jafa se

zamane ke dil kyuun dukhae gae hain

dil-o-dida do ghar hain tashrif laaen

sanvare gae hain sajae gae hain

ye duniya hai is men hamesha se insan

bigade gae hain banae gae hain

bani-adam aaza-e-yak-digar-and

ki mitti se ham tum banae gae hain

zamin se hi aae zamin hi men jaana

isi se bigade banae gae hain

hamin par nahin zulm duniya men ‘parvin’

bahut log yaan azmae gae hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Haal Puchhna Us Ka Mera Muskura Dena

shahryar

Lakh Khurshed Sar-E-Baam Agar Hain To Rahen

Nazren haTin Zara Si Ki Sohbat bigaD Gai

Fida Allah Ki KHilqat Pe Jis Ka Jism O Jaan Hoga

adeem-hashmi

Shor Sa Ek Har Ek Samt Bapa Lagta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet