• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Junun Ke Josh Mein Insan Ruswa Ho Hi Jata Hai

Junun Ke Josh Mein Insan Ruswa Ho Hi Jata Hai

junun ke josh men insan rusva ho hi jaata hai

gareban phaḌne se faash parda ho hi jaata hai

mohabbat ḳhauf-e-rusva.i ka baa.is ban hi jaati hai

tariq-e-ishq men apnon se parda ho hi jaata hai

javani vasl ki lazzat pe raghib kar hi deti hai

tumhen is baat ka gham kyuun hai aisa ho hi jaata hai

bigaḌte kyuun ho aapas men shikayat kar hi lete hain

adu ka tazkira dushman ka charcha ho hi jaata hai

tumhari nargis-e-bimar achchha kar hi deti hai

jise tum dekh lete ho vo achchha ho hi jaata hai

akela pa ke un ko arz-e-matlab kar hi leta huun

na chahun to bhi iz.har-e-tamanna ho hi jaata hai

mira dava-e-ishq aghyar batil kar hi dete hain

jise jhuTa bana len yaar jhuTa ho hi jaata hai

butan-e-be-vafa ‘muztar’ dil-o-din kar hi lete hain

tumhin par kuchh nahin mauquf aisa ho hi jaata hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nisar Yun to Hua Tujh Pe Naqd-E-Jaan Kya Kya

poet

Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai

sahir-ludhianvi

Tumne Kitne Sapne dekhe Maine Kitne Git Bune

poet

Apna Pata Mujhe Bata Bahr-E-Khuda Tu Kaun Hai

poet

Rakhta Hun Main Haq Par Nazar Koi Kuchh Kaho Koi Kuchh Kaho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet