• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Liye Phirte Hain Ye Shams O Qamar Donon Sath

Kis Liye Phirte Hain Ye Shams O Qamar Donon Sath

kis liye phirte hain ye shams o qamar donon saath

kis ko ye DhunDte hain barhana-sar donon saath

kaisi ya-rab ye hava sub.h-e-shab-e-vasl chali

bujh gaya dil mira aur sham-e-sahar donon saath

ba.ad mere na raha ishq ki manzil ka nishan

miT ga.e rah-rau o rahguzar donon saath

ai junun dekh isi sahra men akela huun main

rahte jis dasht men hain ḳhauf-o-ḳhatar donon saath

mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotahi par

ya ḳhuda aa.e the kya sham-o-sahar donon saath

us ne pheri nigah-e-naz ye ma.alum hua

khinch gaya siine se tiir aur jigar donon saath

gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahlu ne

ek goshe men karenge ye basar donon saath

is ko rokun main ilahi ki sambhalun us ko

ki taḌapne lage dil aur jigar donon saath

naaz baḌhta gaya baḌhte ga.e juun juun gesu

balki lene lage ab zulf o kamar donon saath

tujh se matlab hai nahin duniya o uqba se gharaz

tu nahin jab to ujaḌ jaa.en ye ghar donon saath

baat sunna na kisi chahne vaale ki kabhi

kaan men phunk rahe hain ye guhar donon saath

andhiyan aah ki bhi ashk ka sailab bhi hai

dete hain dil ki ḳharabi ki ḳhabar donon saath

kya kahun zohra o ḳhurshid ka aalam ai ‘nazm’

nikle ḳhalvat se junhi vaqt-e-sahar donon saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ali-sardar-jafri

Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain

Hai Aks-E-Aina Dil Mein Kisi Bilqis-E-Sani Ka

ahmad-hatib-siddiqi

Ye Baat Samajh Mein Aai Nahin

poet

Roz Murgha Bana Kare Koi

Tamashe chuTkule Tali Mein Mat Rakh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet